SIL

Serving For Free Education

Quotes2

Quotes


3 (Teen) Insan 3 cheezo’n se mehroom raheinge
1.Ghusay waala Durust faislay se
2.Jhoota Izzat se
3.Jald baaz Kaamiyabi se.
(HAZRAT ALI R.A)

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Agar Tum Usay Na Pa Sako Jise Tum Chahtay Ho,Tu Usay Zaroor Pa
Lena Jo Tumhe Chahta Hay
(HAZRAT ALI (A.S)

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Insaan ka apnay Dushman se inteqaam ka sub say acha tariqa ye he k wo apni khoobiyo’n me izafa karey.. ‘Hazrat Ali (A.S)

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Wo gunah jis ka tumhein ranj ho, ALLAH k nazdeeq us nayki se behtar hai jis se tum main ghuroor paida ho jaye”. ( HAZRAT ALI R.A )

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
“Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho, Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aae huwe DOST ko ganwa de”( HAZRAT ALI R.A )

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
“2 cheezein saari zindagi kaam aayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( HAZRAT ALI R.A )

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Insaan Bhi kitna Ajeeb hay, Jab kisi Cheez se Darta hay to us se duur Bhagta hay.
Jab ALLAH se Darta hay to Us k aur Qareeb Ho Jata hay.
( HAZRAT ALI R.A )

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dunya Daaro’n ki sohbat ikhteyaar na karo kyun K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge aur agar tu Dawlat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( HAZRAT ALI R.A )

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Acha Dost kitni dafa Hi kyun na rooth jaye usay Mana Lena Chahiye! kyun K Tasbeeh K daaney kitni dafa hi Kyun na bikhrei’n Chun Liye Jate Hain! 
( HAZRAT ALI R.A )

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
“Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaaho’n ki saza foran nahi deta..” ( HAZRAT ALI R.A )

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
4 (Chaar) Batei’n Ilm Ka Nichour hain,
1.) ALLAH ki itni ibaadat karo jitni tumhain ALLAH Ki Zarurat Hay.
2.) ALLAH ki naafarmani itni karo jitna ALLAH K Azaab per Sabr kar Saktey ho..
3.) Dunya k liye itna amal karo jitna K Tumhei’n dunya mein rehna Hai,,
4.) Aakhirat K liye itna amal karo jitna K Tumhein wahan rehna Hai….!!! ( HAZRAT ALI R.A )

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Kisi ne HAZRAT ALI R.A se poocha: “Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya: “Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha: “Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?”
To aap ne farmaya: “Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’( HAZRAT ALI R.A )


-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Agar kisi ka zarf azmana ho to usko ziada izzat do
Wo Aa’la zarf huwa to aap ko aur izzat day ga or kam zarf huwa to khud ko Aa’la zarf sumjhay ga.
 ( HAZRAT ALI R.A )

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
HAZRAT ALI R.A Ka Farman Hay:-
“Bura Dost Aag Ki Manind Hay”
“Agar Jalta Hoga To Aap ko Jala Dega”
“Aur Agar Bujha Hoga To Aap K Hath Kaaley Kar Dega”( HAZRAT ALI R.A )

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Aazmaye Huwe Ko Azmana Bewakufi He.
 ( HAZRAT ALI R.A )

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Oldest Post                                             Newer Post

No comments:

Post a Comment